Showing posts with label Auliya. Show all posts
Showing posts with label Auliya. Show all posts

Monday, 23 April 2018

Allah ki Ata Say Nabi Momineen or Firshtay Madad Krtay Hein ( Quran )

 “Aye Imaan Waalo Allah k Deen K Madadgaar Raho Jaise Isaa Maryam K Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kon Hai Jo ALLAH ki Taraf Hoke Meri Madad Kare Hawari Bole Hum Khuda K Deen K Madadgaar Hai To Bani Israel K Ek Giroh Ne Imaan Laaya aur ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di TO Gaalib Hogaye ”
[Surah Saff Ayat 14]


"Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega” 
[Muhammad Ayat 07]


“Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna” 
[Imran Ayat 81]


“Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29
Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30
Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31”

[Surah Taha Ayat 29 - 30 -31]


“Jab Tum Apne Rab Se Faryaad Karte The To Usne Tumhari Sunli Ki Main Tumhe Madad Dene Waala Hoon Hazaro Farishto Ki Kaatar Se”
[Anfaal Ayat 09]


“Beshak Allah Tumhara Madadghar Hai aur Sabse Badkar Madadghar Hai”
[Al Imran Ayat 150]
“Yeh Isliye k Musalmano Ka Madadghar Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi Madadghar Nahi ”
[Muhammad Ayat 11]
“Beshak Allah Unka Madadghar Hai Aur Jibril ( Alaihisalam) Aur Naik Momineen Madadghar Hain”
[Tehreem Ayat 04]

Thursday, 5 April 2018

Shaam ky Abdaal or Iraq ky Auliya by Hadith

عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ يَكُونُ اخْتِلاَفٌ عِنْدَ مَوْتِ خَلِيفَةٍ فَيَخْرُجُ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْمَدِينَةِ هَارِبًا إِلَى مَكَّةَ فَيَأْتِيهِ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ مَكَّةَ فَيُخْرِجُونَهُ وَهُوَ كَارِهٌ فَيُبَايِعُونَهُ بَيْنَ الرُّكْنِ وَالْمَقَامِ وَيُبْعَثُ إِلَيْهِ بَعْثٌ مِنَ الشَّامِ فَيُخْسَفُ بِهِمْ بِالْبَيْدَاءِ بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَإِذَا رَأَى النَّاسُ ذَلِكَ أَتَاهُ أَبْدَالُ الشَّامِ وَعَصَائِبُ أَهْلِ الْعِرَاقِ 
Hazrat Umme Salama RadiAllahu Anha Rivayat Karti hai RasoolAllah ﷺ ka Irshad naqal Karti hain ke ek khalifa ke wafaat ke baad (naye khalifa keintekhaab par Madina ke musalamano me) ikhtelaf hoga. 
Ek shakhs (yaani Mahdi is khayal se kahi log mujhe na khalifa bana den) Madina se chale jaenge. Makka ke kuch log (jo Unhe ba-haysiyat-e-Mahdi pehchan lenge) Unke paas aaenge aur unhe (makaan) se baahar nikaalkar Hajr-eAswad wa Maqam-e-Ibrahim ke darmiyan Unse Baiyat (-e-Khilafat) karlenge. 
(Jab Unki khilafat ki ki khabar aam hogi) to  Mulk-e-Shaam se ek lashkar unse jang keliye rawana hoga (jo Aap tak pahunchne se pehle he) Makkah wa Madina ke darmiyan Baida (chatiyal maidan) me zameen ke andar dhansa diya jayega. (Is ibrat khez halakat ke baad) Shaam ke Abdaal aur Iraq ke Auliya aakar Aapse Baiyat-e-Khilafat karenge.

References :
(Sunan Abu Dawood, Kitabal Mahdi, Pg : 467 Hadees : 4286)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 06, Pg : 316)
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol: 08, Pg : 609)
(Imam Abdur Razzaq Al Musanna Vol : 11, Pg : 371, Hadees : 20769)
(Imam Tabarani Al Mujam Al Awsat Vol : 02, Pg : 35, Hadees : 1153)
(Imam Ibn Hibban As Sahih Vol : 15, Pg : 158-59)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 12, Pg : 370, Hadees : 6940)
(Imam Ibn Asakir Tarikh E Damish Vol : 01, Pg :292 - 93)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, pg : 431)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 07, Pg : 315)
(Imam Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Vol :03, pg : 171, Kitabul Fitan, Hadees : 5456)
(Imam Hussamudin Hindi Kanjul Ummal Vol :14, Pg : 265, Hadees : 38668)

Scan Page Sunan Abu Dawood




Umat mein 40 Logu ki Barkat aik Husan Hadith

“Hazrat Anas ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshaad Farmaya Jamin un 40 shakhs se Khali naa hogi jinka Qalb Hazrat Ibrahim Alaihsalam kay qalb pe hoga unhi kay waseele se Allah fateh aur barish dega unme jab bhi kisi ka inteqal hota hai ALLAH Taala Uske jagah kisi dusre ko mussallat kar deta hai”
Hazrat Qatada Kahte hai hume is par koi Shak nahi kay Hazrat Hasan Basari unme se ek hai”

References : 
(Imam Tabarani Al Mujam Al Awsat Vol : 04, Pg :247, Hadees : 4101)
(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabir Vol : 10,Pg : 224, Hadees : 10390)
(Imam Abu Nu’aym Asfahani Marifat As Sahaba, Hadees : 4013)
(Imam Ibn Asaqir Tareekh Vol : 01, Pg : 298)
(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 10, pg : 63 , Hadees : 16675 , Farmaya Ye hadees Hasan hai)
Scan page Mujam Al Awsat Lil Tabarani



Umat mein Abdaal ka Biyan aik Sehih Hadith in Urdu and Arabic

“Hazrat Abdullah Ibn Jarir Radiallahu Se Rivayat hai Wo Kahte Hai Maine Hazrat Ali Radiallahu ko ye Farmate huwe Suna Aye Logo Ahle Shaam Par Lanaat Naa Kare Kyuki Unme Abdaal Rahte Hai, Haan Unhe Bura Kaho Jo unme Zaalim Hai”

References : 
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 596, Hadees : 8658)
(Imam Ahmad Fada’il as-Sahaba Vol : 02, Pg : 905)
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf, Vol : 11, Pg : 249 Hadees : 20455) 
(Imam Tabarani Al Mu’ajul Awsat, Vol : 04, Pg : 176 , Hadees : 3905)
(Imam Ibn Abi Dunya Kitab Al Awliya’, Hadees : 70)
(Imam Bayhaqi Dala’il Un Nubuwwa, Vol : 6 Pg : 449)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 07 Pg : 317 )
(Imam Ziya Al-Maqdisi Ahadees Al Mukhtara, Vol :02, Pg : 111- 12) 
(Imam Ishaq ibn Rahawayh Kitabul Matalib, Vol : 03, Pg : 377) 
(Imam Nu’aym ibn Hammad , Kitabul Fitan Hadees : 651 Sahih Sanad), 
(Imam Ibn ‘Asakir, Tareekh Vol :01, Pg :296-97)
(Imam Busiri  Vol : 10, Pg : 332, Hadees : 7930) 
Sanad Sahih 
Scan Page Imam Hakim Al Mustadraq Farmate hain ye Hadith Sahih hai



Saturday, 31 March 2018

Auliya Allah ke fazaail in Urdu

Auliya Allah ke fazaail :
───────────
(1) Qur’an :

10 Surah al-Yunus, Aayat 62-63-64 :
Khabardar sun lo beshak jo ALLAH ke dost hote hain unko na
to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki)
khushkhabari hai aur aakhirat me bhi (magfirat wa shafa’at
ki).
(2) Hadeese Qudsi :
ALLAH ta’ala farmata hai :
‘Jis ne mere kisi Wali se dushmani ki main us se elaane e
jang karta hu.’
(Bukhari, Jild -5, Hadees -2384;
Sunan Ibne Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadees -3989)
(3) Hadeese Nabawi :
Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLAH ki yaad
dilaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal
aakhirat ki yaad dilaye.
(4) Hadeese Nabawi :
Hazrat Abdullah bin Umar radi-Allahu ta’ala anhu se riwayat
hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘Beshak ALLAH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke
ALLAH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawai ke liye khaas
farmaya hai. Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain
(aur wo unki haajat rawai karte hain). ALLAH ta’ala ke wo
khaas bande azaabe Ilaahi se amaan me hain.’
(5) Hadeese Nabawi :
Huzoore akram Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne
farmaya ki
“Jab tum me se kisi ki sawaari jangal me chhut jaaye ya koi
cheez kho jaaye to is tarah pukarna chahiye, ‘Aainooni Ya
Ibaad-Allah ya’ni Aye ALLAH ke bando, meri madad karo’,
Aisa 3 baar kahe.
Kyun ki ALLAH ke bahut se aise bande is zameen par hote
hain, Jo tumhari madad karenge.”
(Tibraani Kabeer, Hadees -105 18,
Fatah-ul qadir, Jild – 1, Safa -92)
(6) Hadeese Nabawi :
Hazrate Umar Farooq radiAllahu ta’ala anhu riwayat hai :
Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘ALLAH ke kuchh bande aise honge jo na Nabi honge aur na
Shohada honge; Magar roze mehashar un ke buland maqaam
ko dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohada bhi rashk
karenge.’
Asahaba ne arz kiya : ‘ Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wa
sallam, Hume bata de’n, wo kaun log honge?”
Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya, ‘Yeh wo log hain
jo ALLAH ke liye ek-dusre se mohabbat karte hain. ALLAH ki
qasam un ke chehre 14wi raat ke chaand ki tarah chamak
rahe honge aur wo noor ke mimbaron par baithe honge. Us
din jab log khaufzada honge unhe koi khauf na hoga aur jab
us din log ghamzada honge unhe koi gham na hoga.’
Phir Aap sallallahu alaihi wa sallam ne yeh Aayat Tilawat ki –
(Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62)
‘Khabardar sun lo beshak jo ALLAH ke dost hote hain un ko
na to koi khauf hota hai aur na koi gam hota hai.’
(Abu Daawood, Jild -3, Safa -288, Hadees -3527)
(7) Hadeese Nabawi :
Ek baar Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne
farmaya,
‘ALLAH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata
farmaye hain jo bagair hisaab o kitaab ke Jannat me daakhil
honge.’
Ye sunkar ek sahabi ne aage aaye aur arz kiya ‘Ya Rasool-
Allah sallallahu alaihi wa sallam, Aap ne ALLAH ta’ala se
majeed na maanga?’
Aap ne aage farmaya ‘Wo har aik apne saath 70-70 hazaar
logo ko Jannat me leke jaayenge.’
(Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul-Raqaia, Safa 416;
Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-Eimaan, Safa -198)